Chalo achcha hua, uska bhi ant ho hi gaya
Na tum humse, na hum tumse koi ummeed ab rakhain
Chalo achcha hua, ye faislaa bhi ho hi gaya . . .
Tum apne kaam main ye zindagi aabaad ab karna
Ke apne dil ko ab ek baar fir mai samjhaaungi
Na mere thae, na mere ho, na mere hoge kabhi
Ye bhi ek sach hai, mai ek roz maan jaungi . . .
Mere iss pyar ki gehraai ko na yaad tum karna
Khuda ne chaha to, mai bhi ab bhul jaungi
Teri aankhain, teri baatain, teri angdaaiyon ko ab
Mai apne zehn k ek kone main dafnaaungi . . .
Chalo achcha hi hai, jo hona tha wo ho hi gaya
Tum apne main, mai apne main sama hi jaaungi
Agar takraai nazar meri, teri aankhon se
Tujhe pehchaan kar bhi anjaan mai ban jaungi . . .