My thoughts, my imaginations, my emotions, my feelings, my opinions, my fears, my dreams... are all collected in the form of my poems......I am just like any of you... a normal human being with lots of imagination, thoughts, view points... It is just that I take sometime out of my life and prefer giving direction to my thoughts.... as writing is my passion....I feel so satisfied after putting my thoughts into words. In this blog, at times, you might see me with your own eyes...you might relate to my opinions...you might enjoy my dreams...you may even be able to feel my never ending thoughts in those repetitive "..." !!! But let me tell you something... at times I might not be anywhere near what you see...so don't feel bad, it is just that every individual has there own thought process everyone have there own views toward anything.
This life is so busy that we never take time out for our own self. Take a break, get a snack and read a while, I m sure you will have a better understanding about your life, your self and of-course everything else going around you. So just TAKE A BREAK and ENJOY...

Monday, May 30, 2011

Zikr...

Zikr kissi or ka jab wo kiya karte hain, 
Dil main mere bade tufaan utha karte hain . . .
Yuun hothon pe hansi, or dil main ghum chupa kar, 
Hum zindagi k har pal main mara karte hain . . .


Wo kahte hain mujhse k dil main tum basi ho,
Par aankhon main sapne uss k basa karte hain . . .






E-Khuda . . . . itnaa to bata de 
Kya dilon k rishtae aisae hi hua karte hain???
Bahut kumzoor hai tera ye bandhan pyaar ka 
Log bade bewafa nikalte hain . . .


Iss duniya main ab mann nahi lagta mera, 
Lagta hai wafa karne wale uss oor raha karte hain . . .
Par ab koi chah nahi mujhe kissi ki wafa ki,
Dil jisko diya hai,
hum to har pal unhiin pe mara karte hain .

Thursday, May 19, 2011

MAUN...


Jee karta hai panchii ban, mai duur kahin ab udd jaun
Paas na aaun iss jag ke, mai ambar main hi kho jaun
Chup baithe is dil ki cheekhe, kaise sab ko sunvaun
Khamoshi ki misaal huun, mai usse duur bhi kaise ho jaun

Mann ki bechaini hai, mujhse duur nahi ab hoti hai
Tum hi batlaado ab mujhko, kaisae isko samjhaun



Duur des ki pariyaan hain, jo aa kar mujhe hansati hain
Kuch kar do he DAATA aisaa, mai saath unhin k ho jaun

Iss duniya se uss duniya ka, safar bahut hi lamba hai
Kaisae paar karuun raste ko, kaise ab mai tar jaun
Shor basa hai rag-rag main, mai kaise isko behlaaun
Maun huun mai, aur chahti huun ki maun hi ab mai ho jaun.
Maun huun mai, aur chahti huun ki maun hi ab mai ho jaun.

Tuesday, May 17, 2011

Intzaar...

Hum har shaam dil jalate hain tere intzaar main
Jaise koi zinda dafn ho gaya ho mazaar main
Meri har shaam yuun hi khali jati hai
Aas har roz lagti hai or tuut jati hai

Dil bhi gumsum saa rehta hai, kya kahain zamane ko
Mann taras gaya hai chand lamhon ki khushi paane ko
Ek arsaa beet gaya hai mujhe muskuraye 
Magar jinki aasha thii wo ab tak na aaye

Saanson ki dor se ek umeed si bandhi hai
Najane kyun ye lagta hai ki dor chuut si rahi hai
Zindagi mujhko koi gila nahi tujhse
Ye to meri kismat hai ki wo mila nahi mujhse...

Saturday, May 14, 2011

Hum Kitnae Duur Ho Gaye...

Itnae paas hain, tamaam raaz chuur ho gaye
ek duje k saath kitnae mashoor ho gaye 
kya hua, kya na hua k ye bhi ab pata nahi 
aapke iss pyaar main pagal zaruur ho gaye

Is sunahre waqt k har ek pal ko jee k hum
apni hi iss zindagi k mureed ho gaye

itnii bhi khushkismati kisko naseeb hoti hai 
duniya ki nigaah k fir hum shikaar ho gaye

tum kahan ho, mai kahan huun, ye bhi ab pata nahi
jitnae bhi thae sapne saare chuur chuur ho gaye 
samay k iss fer main hum majboor ho gaye 
duur duur hone main hum kitnae duur ho gaye 

duur duur hone main hum kitnae duur ho gaye. 

GAREEBI . . .

Gareebi tod deti hai kamar insaan ki aisae
ki sapne aankh main aane se pehle tuut jate hain
mayusi har kadam gar dosti nibhaane lag jaye
to insaan kirchiyon ki bhaanti pal main bikhar jate hain

kissi nanhain se deepak se mrtyu ko pyar ho jaye-2
to duniya bhar k nuskhae vyarth khud ko aazmatae hain
faqat bas naam ki hai ye ameeron ki jo duniya hai-2
k ismain dil k rishtae dil hi dil main tuut jate hain

mere ghar bhi jala tha ek diya aasha ka....baras pehle-2
magar ghee-tel k daamon ka kya, baarhan gagan chuu jatain hain
mere dil ki vyatha ko duur kar, maulaa inaayat kar-2
kissi se dushmani nibhaana bhi himmat ki baatain hain

mai kaisae chor duun iss saadgi ko, iss saralta ko
satya hai ye k marnopraant sab vaikunth jaatae hain.
satya hai ye k marnopraant sab vaikunth jaatae hain.

Friday, May 13, 2011

Waapas Kar do Bachpan Mera . . .


Aaj khule amber k neechae
haath failaye baithii huun
wapas mujhko chota kar do
khuda se mai ye kahti huun

Choti thii to sab achcha tha
dukh ki koi wajah na thii
aaj bhari duniya main rah kar
sukh ko dhundha karti huun

Papa ki godh main mujhko
duniya ki har khushi mili
jab se chuti godh hai wo
mai khud ko dhundha karti huun

Roti thii to mumma
bade hi pyaar se mujhko samjhati
godh main rakh kar sir ko mere,
haathon se thii sahlati

Duur huun mai ab unse itna
soch soch kar marti huun
din ki choti cheezon main mai,
uss ehsaas ko dhundha karti huun

Chote chote sapno ki mujhko
chotii duniya hi bhati hai
badi hui huun jab se mai
har cheez ab mujhko khaati hai

Pyaar bhara daaman ab chuta
chut gaye hain log bhi sab
badi hui huun jab se main
badal gaye hain rishte sab

Papa...fir se godh main le lo
unglii pakad kar chalwaao
mujh main itna saahas nahi ab
aap hi rasta dikhlao

Bade badon ki iss duniya main
bada na mujhko ban na hai
khol k apne dil ko mujhko
fuut fuut kar rona hai

Uss pal ka har ek lamha
yaad mujhe ab aata hai
waapas kar do bachpan mera
ye badappan na mujhko bhata hai

waapas kar do bachpan mera
ye badappan na mujhko bhata hai.