My thoughts, my imaginations, my emotions, my feelings, my opinions, my fears, my dreams... are all collected in the form of my poems......I am just like any of you... a normal human being with lots of imagination, thoughts, view points... It is just that I take sometime out of my life and prefer giving direction to my thoughts.... as writing is my passion....I feel so satisfied after putting my thoughts into words. In this blog, at times, you might see me with your own eyes...you might relate to my opinions...you might enjoy my dreams...you may even be able to feel my never ending thoughts in those repetitive "..." !!! But let me tell you something... at times I might not be anywhere near what you see...so don't feel bad, it is just that every individual has there own thought process everyone have there own views toward anything.
This life is so busy that we never take time out for our own self. Take a break, get a snack and read a while, I m sure you will have a better understanding about your life, your self and of-course everything else going around you. So just TAKE A BREAK and ENJOY...

Monday, November 14, 2011

A Tribute To Love : Part 2

Tum Maun ho... to ye kaun hai???
Jo ander hi mere chikhta chillaata hai . . .

Ek Udaaseen sada hai jo kahin duur se aati hai . . .
Ek pakshi hai jo bilakhta fadfadata hai . . . 



Aankhain moondun to ek andheri gehraai main . . . 
Ek dhundhla sa chehra nazar aata hai . . . 


Tum sada ho ya ehsaas . . .
Tum hawa ho ya madhumaas . . . 
Tum ho waqt ki dhaar . . . 
Tum dil ki ek pukaar . . . 
TUM JEEVAN k USS PAAR






Tum dil main ek bawandar ho . . . 
Tum aankhon ka samandar ho . . . 
Tum zinda ho mere tan main . . . 
Tum ho shaashwar mere mann main . . . 


Tum sukh ho mere angan ka . . . 
Tum praan ho mere prangan ka . . . 
Tum dil ki ho har ek dhadkan . . . 
Tum saanson ka ho har ek kan . . . 
Tum jab se ho gayi ho ojhil . . . 
Saansain meri ho gayi bojhil . . . 


Jeenae ko mere ab to bas . . . 
Beetii baatain hi baaki hain . . . 
Wo saath guzare lamhon ki . . . 
Pyaari ghadiyan hi baaki hain . . .


Jeevan k iss lambe path par . . .
Mere saath mujhe hi chalna hai . . . 
Ab dheere dheere sulag sulag kar . . . 
Mujhko yuun hi jalna hai . . . 

Ab dheere dheere sulag sulag kar . . . 
Mujhko yuun hi jalna hai . . .

Monday, October 31, 2011

Maine Dekha Hai...

Maine chaand ko aasmaan main rote hue dekha hai. . .
Maine suraj k angaaron ko pighaltae hue dekha hai. . .
Maine saagar ki lehron ko machaltae hue dekha hai. . .
Maine badal k peechae ki nami ko dekha hai. . .



Maine zindagi ko saanson main ghutae hue dekha hai. . .
Kissi masuum ki aankhon k bhole sapno ko maine
Til til kar dard se tuutae hue dekha hai. . .
Maine mehfilon main tanhaai ko sisakte hue dekha hai. . .


Maine pyaar k sachchae moti ko shaq k kaaran 
Hazaaron ki bheed mainn bikharte hue dekha hai. . .
Maine dosti ko haathon se chuutae hue dekha hai. . .
Maine ret k mehlon ko tuutae hue dekha hai. . .


Maine taaron ko chaand se zhagadte hue dekha hai. . . 
Maine khamosh zubaan ki. . . dil ki. . . har aah ko
Kissi band kamre main cheekhtae hue dekha hai. . .
Maine aandhiyon ko aate or jaatae hue dekha hai. . .






Maine aankhon main aansuon ko tadaptae hue dekha hai. . .
Maine phoolon ki muskurahathon main chupae... apaar ghum ko dekha hai. . .
Maine aasma ko dharti par zhuk kar sote hue dekha hai. . .
Maine chaand se chaandni ko bichadte hue dekha hai. . . 


Tum nahi jaan paaoge mere dard ki gehraai ko
Tumne mehlon ko kahan kabhi khandar bante dekha hai. . . 
Mere chehre ki udaasi kahan kabhi tumhain chuu payegi
Tumne kahan kissi phool ko shaakh par rote hue dekha hai. . .


Dekhne par aaye 
To har cheez dekhti hai duniya
Par in paththar aankhon se
Kahan kissi ne sachchaai ko dekha hai


Maine chaand ko aasmaan main rote hue dekha hai. . .
Maine suraj k angaaron ko pighaltae hue dekha hai. . .
Maine saagar ki lehron ko machaltae hue dekha hai. . .
Maine badal k peechae ki nami ko dekha hai. . .

Monday, July 25, 2011

Tu Hai Mera Darpan...

Teri rehmat hai mere saath , jo mai iss jahan main huun ,
Meri khush kismati ki isse badh kar kya misaal duun ,
Tu meri ruuh main basta hai, mere zehn main hansta ,
Mere har ek karam main, tu hi mujhko deta hai sadka ,

Teri mojudgi bhi dil ko mere raas aati hai ,
Teri dehleez par ye zindagi aansun bahati hai ,
Tere faizon karam se hi meri duniya hai ab roshan ,
Tu meri jaan hai, rab hai mera, tu hai mera darpan ,


Mere khwaabon ki duniya tujh par aa kar praan paati hain ,
Tere hi nuur se kudrat main har pal jaan aati hai ,
Tu saahil hai samandar ka, tu hai ek aasara mann ka ,
Tu mere dil ki dhadkan hai, tu jeevan hai mere tan ka ,

Mere aankhon k koron main hi basta hai tera saawan ,
Tu mere zahen ki har ek khushi ka hai sahi kaaran ,
Tu jab tak saath mere hai, mai khud par naaz karti huun ,

Tujhi se seekh pa kar teri duniya main sawarti huun . . .

Monday, June 27, 2011

KAASH . . .

E-khuda kaash k yuun bhi kabhi hua hota
wo mere saamne rota aur mai apni baat pe ada hota. . .
use bhi mehsuus hota kissi apne k duur jane ka ghum
kaash k wo bhi meri hi tarah yuun hi tadpa hota . . .






Pal-pal ko barson main guzaara hai maine,
kaash ki ek pal usne bhi aisaa guzara hota . . .
ashq bhi suukh gaye thae in palkon main meri
mai khush hota 
gar ek aansu bhi usne mere liye bahaya hota


Uske liye to pyaar ek khel tha, 
bahut kuch sikhaya usne, 
kaash ye khel bhi sikhaya hota . . .
dua karta huun k ek din 
wo bhi meri hi jagah khada ho,
usse maluum to ho 
ki mai to zhel gaya tha 
par wo tuut gaya hota...

Monday, June 20, 2011

Ehsaas . . .

Kyun iss tarah se kabhi zindagi udaas hoti hai,
Baat hoti nahi par fir bhi khaas hoti hai
Yaad tumhari mehfil main bhi tanhaa kar jati hai
Yuun din guzarta hai or yuun hi raat hoti hai. . .






Log hantae hain meri khaamoshi par 
Par mere jism ki har ek saans roti hai. . .
Itnaa pyaar hai mere dil main samaya tere liye 
Ki baataon baataon main bhi teri baat hoti hai


Tujhse duur ho k teri kareebi ka ehsaas hua
Tu duur hai mujhse, par tera ehsaas. . . . 
Teri khushboo tak bhi mere saath hoti hai

Monday, June 13, 2011

Mujhe AZAAD kar de...

Mere saanson k kharidaar mujh par thoda saa ehsaan kar de
tere dil ki thodi sii zamiin mere naam kar de
tuut kar bikharna chahti huun teri baahon main mai
apni baahon ka thoda sa hissa mujh par kurbaan kar de






Apne dil k khaalipan ko tere khayalon se mai bharti huun
tu mere zahn main utar kar mujhe apna gulaam kar de
mere shareer k har kone main tere pyaar ki basaawat hai
tu meri zindagi main aa k roshan jahan kar de


Maine khud ko hamesha chaar dewaari main kaid rakha hai
mujhe AZAAD kar de mera ye bhi kaam kar de
mere khawabo k kaarwaan ko sachaai main badal kar
mere naam ye apni zindagi tamaam kar de...

Saturday, June 04, 2011

Yaad...

Jab chale hi gaye ho zindagi se meri
to chale kyun nahi jate ho
naa aate ho paas mere
naa duur mujhse ho paate ho


Yuun til til kar marne ki kyun 
aadat mujhe dalwate ho
maar hi do ek baar main tum
kyun mjhko yuun tadpate ho






Dil k har kone main bas kar 
mujhko yuun satate ho
fir aakhon k koron se 
tum neer ban k beh jate ho


Meri halat dekh kar bhi 
taras kyun nahi khaate ho
ab to aa jao wapas
kyun yaad ban k reh jate ho...

Thursday, June 02, 2011

Uss KHUDA ka Darr Nahi . . .


Chahta hai kya ye mann
aankh meri kyun hai num
kya hai dukh, hai kya wajah 
kaun jane kya pata

kya hai mushkil aa padi 
hai kyun bechaini badi
dil mera hai ghumzada
shok main kyun hai lada

dekh kar duniya badi
sochti huun ye khadi
kyun meri masumiyat 
duur sehmi si khadi

zindagi ki taal pe
naachte behaal se
paak bas shadarsh main
kho gaye aadarsh hain

iss jahan k jeev sab
aankh munde hain khade
dekh kar anyaay bhi 
kyun hain bistar main pade

jeev hain, jeevan nahi
tan to hain, par mann nahi 
har kriya main swaarth hai
swam sukh parmarth hai

badon ka aadar nahi 
uss khuda ka darr nahi
aankh main lajja nahi 
karm main sajda nahi

suna tha main kahin
rehta hai allah yahin
satya raah dikhata hai
dukh ko sukh se milata hai

kho gayi uski sada
hai ye ishwar ki adaa
kuch samay tak nar agar
naa kare uski kadar
wo sada mit jati hai
hridaykan  main chup jati hai

vintii hai insaan se
gul bano gulistaan k
insaan ban kar aaye ho
insaaniyat ka daan do

zindagi bas ye nahi 
jo yahan par jee gayi
ye faqat thahraav hai
sirf ek padaav hai

jana sabko hai ek nagar
alag ho chahe dagar
tum na satya path se darro
dusron ka dukh haro

khud raho santusht aur
prem ras se mann bharo
sabke jeevan main manuj 
rang khushiyon k bharo

sukh tum itnaa paoge
kalpna na kar paaoge
khushiyaan hongi bikhri hui
na gareebi na bhukmari

naa koi apraadh ho
bhaaichare main baat ho
har taraf hariyaali ho
duur tak khushaali ho

socha hai maine abhi 
kalpana ye hai badi
fir bhi aashaa hai magar
hogaa duaaon main asar

ek din, to aisaa aayega
jab satya swapn ho jayega
kitna madhur hoga wo pal
jab hongain sabke sapne safal


kitna madhur hoga wo pal
jab hongain sabke sapne safal.

Monday, May 30, 2011

Zikr...

Zikr kissi or ka jab wo kiya karte hain, 
Dil main mere bade tufaan utha karte hain . . .
Yuun hothon pe hansi, or dil main ghum chupa kar, 
Hum zindagi k har pal main mara karte hain . . .


Wo kahte hain mujhse k dil main tum basi ho,
Par aankhon main sapne uss k basa karte hain . . .






E-Khuda . . . . itnaa to bata de 
Kya dilon k rishtae aisae hi hua karte hain???
Bahut kumzoor hai tera ye bandhan pyaar ka 
Log bade bewafa nikalte hain . . .


Iss duniya main ab mann nahi lagta mera, 
Lagta hai wafa karne wale uss oor raha karte hain . . .
Par ab koi chah nahi mujhe kissi ki wafa ki,
Dil jisko diya hai,
hum to har pal unhiin pe mara karte hain .

Thursday, May 19, 2011

MAUN...


Jee karta hai panchii ban, mai duur kahin ab udd jaun
Paas na aaun iss jag ke, mai ambar main hi kho jaun
Chup baithe is dil ki cheekhe, kaise sab ko sunvaun
Khamoshi ki misaal huun, mai usse duur bhi kaise ho jaun

Mann ki bechaini hai, mujhse duur nahi ab hoti hai
Tum hi batlaado ab mujhko, kaisae isko samjhaun



Duur des ki pariyaan hain, jo aa kar mujhe hansati hain
Kuch kar do he DAATA aisaa, mai saath unhin k ho jaun

Iss duniya se uss duniya ka, safar bahut hi lamba hai
Kaisae paar karuun raste ko, kaise ab mai tar jaun
Shor basa hai rag-rag main, mai kaise isko behlaaun
Maun huun mai, aur chahti huun ki maun hi ab mai ho jaun.
Maun huun mai, aur chahti huun ki maun hi ab mai ho jaun.

Tuesday, May 17, 2011

Intzaar...

Hum har shaam dil jalate hain tere intzaar main
Jaise koi zinda dafn ho gaya ho mazaar main
Meri har shaam yuun hi khali jati hai
Aas har roz lagti hai or tuut jati hai

Dil bhi gumsum saa rehta hai, kya kahain zamane ko
Mann taras gaya hai chand lamhon ki khushi paane ko
Ek arsaa beet gaya hai mujhe muskuraye 
Magar jinki aasha thii wo ab tak na aaye

Saanson ki dor se ek umeed si bandhi hai
Najane kyun ye lagta hai ki dor chuut si rahi hai
Zindagi mujhko koi gila nahi tujhse
Ye to meri kismat hai ki wo mila nahi mujhse...

Saturday, May 14, 2011

Hum Kitnae Duur Ho Gaye...

Itnae paas hain, tamaam raaz chuur ho gaye
ek duje k saath kitnae mashoor ho gaye 
kya hua, kya na hua k ye bhi ab pata nahi 
aapke iss pyaar main pagal zaruur ho gaye

Is sunahre waqt k har ek pal ko jee k hum
apni hi iss zindagi k mureed ho gaye

itnii bhi khushkismati kisko naseeb hoti hai 
duniya ki nigaah k fir hum shikaar ho gaye

tum kahan ho, mai kahan huun, ye bhi ab pata nahi
jitnae bhi thae sapne saare chuur chuur ho gaye 
samay k iss fer main hum majboor ho gaye 
duur duur hone main hum kitnae duur ho gaye 

duur duur hone main hum kitnae duur ho gaye. 

GAREEBI . . .

Gareebi tod deti hai kamar insaan ki aisae
ki sapne aankh main aane se pehle tuut jate hain
mayusi har kadam gar dosti nibhaane lag jaye
to insaan kirchiyon ki bhaanti pal main bikhar jate hain

kissi nanhain se deepak se mrtyu ko pyar ho jaye-2
to duniya bhar k nuskhae vyarth khud ko aazmatae hain
faqat bas naam ki hai ye ameeron ki jo duniya hai-2
k ismain dil k rishtae dil hi dil main tuut jate hain

mere ghar bhi jala tha ek diya aasha ka....baras pehle-2
magar ghee-tel k daamon ka kya, baarhan gagan chuu jatain hain
mere dil ki vyatha ko duur kar, maulaa inaayat kar-2
kissi se dushmani nibhaana bhi himmat ki baatain hain

mai kaisae chor duun iss saadgi ko, iss saralta ko
satya hai ye k marnopraant sab vaikunth jaatae hain.
satya hai ye k marnopraant sab vaikunth jaatae hain.

Friday, May 13, 2011

Waapas Kar do Bachpan Mera . . .


Aaj khule amber k neechae
haath failaye baithii huun
wapas mujhko chota kar do
khuda se mai ye kahti huun

Choti thii to sab achcha tha
dukh ki koi wajah na thii
aaj bhari duniya main rah kar
sukh ko dhundha karti huun

Papa ki godh main mujhko
duniya ki har khushi mili
jab se chuti godh hai wo
mai khud ko dhundha karti huun

Roti thii to mumma
bade hi pyaar se mujhko samjhati
godh main rakh kar sir ko mere,
haathon se thii sahlati

Duur huun mai ab unse itna
soch soch kar marti huun
din ki choti cheezon main mai,
uss ehsaas ko dhundha karti huun

Chote chote sapno ki mujhko
chotii duniya hi bhati hai
badi hui huun jab se mai
har cheez ab mujhko khaati hai

Pyaar bhara daaman ab chuta
chut gaye hain log bhi sab
badi hui huun jab se main
badal gaye hain rishte sab

Papa...fir se godh main le lo
unglii pakad kar chalwaao
mujh main itna saahas nahi ab
aap hi rasta dikhlao

Bade badon ki iss duniya main
bada na mujhko ban na hai
khol k apne dil ko mujhko
fuut fuut kar rona hai

Uss pal ka har ek lamha
yaad mujhe ab aata hai
waapas kar do bachpan mera
ye badappan na mujhko bhata hai

waapas kar do bachpan mera
ye badappan na mujhko bhata hai.